Monday, December 01, 2008

Is Baar Nahin

Is baar nahin
- Prasoon Joshi

Is baar jab woh choti si bachchi mere paas apni kharonch le kar aayegi,
Main usey phoo phoo kar nahin behlaoonga,
Panapney doonga uski tees ko,
Is baar nahin.

Is baar jab main chehron par dard likha dekhoonga,
Nahin gaoonga geet peeda bhula dene wale,
Dard ko risney doonga, utarney doonga andar gehrey,
Is baar nahin.

Is baar main na marham lagaoonga,
Na hi uthaoonga rui ke phahey,
Aur na hi kahoonga ki tum aankein band karlo,gardan udhar kar lo main dawa lagata hoon,
Dekhney doonga sabko hum sabko khuley nangey ghaav,
Is baar nahin.

Is baar jab uljhaney dekhoonga,chatpatahat dekhoonga,
Nahin daudoonga uljhee door lapetney,
Uljhaney doonga jab tak ulajh sake,
Is baar nahin.

Is baar karm ka hawala de kar nahin uthaoonga auzaar,
Nahin karoonga phir se ek nayee shuruaat,
Nahin banoonga misaal ek karmyogi ki,
Nahin aaney doonga zindagi ko aasani se patri par,
Utarney doonga usey keechad main,tedhey medhey raston pe,
Nahin sookhney doonga deewaron par laga khoon,
Halka nahin padney doonga uska rang,
Is baar nahin banney doonga usey itna laachaar,
Ki paan ki peek aur khoon ka fark hi khatm ho jaye,
Is baar nahin.

Is baar ghawon ko dekhna hai,
Gaur se, Thoda lambe wakt tak,
Kuch faisley, Aur uskey baad hausley,
Kahin toh shuruat karni hi hogi.
Is baar yahi tay kiya hai.

********************************

Beautiful poem. And its like he is taking the lines from my head when he says -
"Kuch Faisley, Aur uskey baad Hausley"

1 comment:

Just an ordinary girl ... said...

This is so what so many of us are feeling this time.
Thank you for sharing it AnThom!